How to Make a Perfect Blog easily
kuch logo ny jobs updates kelye blogs sites bnaye hain jahan woh daily jobs ke updates daity hain, kuch dosto ny Study ky topics pr blogs bnain han, jahan woh study ky bary main guide karty hain. notes update karty hain, kuch dost softwares, games, urdu books, ke sharing kelye blogs bnaty hain
blog kia hai? blog aik choti se site hote hai. jis kelye na hamin web programing shikny ke zaroorat hoti hai, na web Designer bnny ke zaroorat hoti hai. sirf apko internet use karna ata hoo aur thori se common sense ho. ;)
blog bnany keleye sb sy pehly app www.blogger.com pr jain. agar apke Gmail ke id bne hai tu wahan Gmail ke id sy login ho jain. agar gmail ke id nahin hai tu phr yahoo ya hotmail ke id sy apko ragister hona pary ga. login hony ke baad apky pass aik page aye ga. jahan create a blog likha nazar aye ga. uspr click karin
create a blog pr click karny pr next page pr ap sy apky blog ka Title name pocha jai ga. ky app apny blog ka Title ya name kia rkhna chahty hai
tu main apna webadress aisa bnaon ga. www.itsupers.blogspot.com. web adress ky neachay Check Availability pr click karky chaeck karin ky kia yeh adress already kisi nay bnaia tunahin hai? agar pehle sy kisi ny bnaia hai tu phr apko koi aur name choice karna pary ga.
next Word Verification main apko jo word dia hoga same wahi word type karin aur countinue pr click kardain. next page pr woh app sy pochy ga ke app apni site ka design kaisa rkhna chahty hain. woh apko
kuch design select karny keley dai ga. jo apko acha lagy woh seleck karin aur continue kar dain.
ab last page aye ga, jis pr likha hoga Your blog has been created!.
apka blog bn chuka hai. start blogging pr clik karin.tu apky saamny blogger ka control panel ajai ga jahan sy app apny blog ko control kar skty hain. sb sy pehla jo page aye ga usmain app ny posting karni hai. app jo bhi posting karin gai woh apky blog ky frontpage pr show hoga
posting ke Title main apni post ka main title ya heading likhen. Editor box main app apna article, posting ya sharing jo ap karna chaty hain type kardian. labels main app posting ka topics ya categories type karin. iss sy visiter ko topic search karny main asani rehti hai aur last publish kardain
ap ke posting main page pr show ho jai ge. view blog pr click karky apny blog ky front page par ain. yahan apki posting show ho rahe ho ge.ajj kelye itna he. blogger.com ke jaga app blogspot.com pr b blog bna skty hain. dono sites aik he hain. end
aj hum bloger ke control panel main sb sy pehly posting ke option ky bary main jany gain. posting main 3 Tabs hain, new Post, Edit Post, Edit Page, new post main hum site pr jo bhi posting karna chahty hain woh type karin gain, Posting ka Editor Box 2 Type ka hai aik compuse 2nd Edit HTML, Compose main Simple Ms Word jaise options hain. jis main app Text Ka Font, Text Size, Color, kar skty hain
image aur videos ke option sy app picture aur videos apni site pr apny PC sy online share kar skty hain. Edit HTML main agar hamin HTML language ati hai tu hum HTML sy kafi kuch apni sites pr share kar skty hain. Normaly iske zaroorat nahin parti. likin agar app advanse work karna chahty hain tu app HTML sikh lain. HTML main app, TV Channels, Chatrooms,SMS Sending ke coding add kar skty hain
Yeh Coding hamin internet sy searching karky easly mil jai ge. kuch coding apko mere Blog www.mshqit.com sy bhi mil jain ge. just unhain copy karna hai Editor Box main Edit HTML pr Click krky Editor Box main paste kar dain hai. next app jo bhi posting karin gain tu jb tk app usy publish nahin karin gain tb tk woh psot blog pr show nahin hoge.agar app posting ko publish nahin karna chaty tu usy save kar dain
save karny sy app isy next time Edit Post ke option sy again publish kar skty hain. save now pr Preview ke option hai. jis sy app apni post ko publish kye baghair uska Preview check kar skty hain. Label ky box main app apni posting ke categories Type kar skty hain jo for example agar main koi game share karon tu label main Game likhon ga, koi software share karon ga tu label main software likhon ga
agar main categories ziada add karna chahon tu woh bhi add kar skta hoon, for example main ny aik software share kia tuneup utilities jo window ke modification aur maintains kelye use hota hai ab main isy 2 categories main add karna chaon ga tu (software, Windows Software) ke Categories bnaon ga,is tara mere blog ke visitors ko categories sy software waly page pr jany main asani hoge
new post ky bad Edit Post ki option ati ha. Edit post main hum apni koi bhi publish ke hoe aur save ke hoe file ko edit kar skty hain. edit psot ke bad edit main main hum apy blog main new page add kar skty hain. jaisy contact me, about me, chat room page etc, posting ke baad top tab main comments ki option ati hai. comments main hum visiters ke comments ko delete karsktay hain...
is trah aap ka 1 perfect blog ban jaye ga aor aap ko kaam karnay me aasani rahay gi...
thanks for Feedback